"rankz-verification" content="dNwLg3JRkGsZa2mn"> Ramazan - Musharraf Wakeel

Musharraf Wakeel

WELCOME On Website

Advertisements

test banner

Breaking

Home Top Ad

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Responsive Ads Here

Friday, May 17, 2019

Ramazan

Asslam O Alikum
                Dostoon Ramzan ka Dosra Ashra Suru hai
Allah is AShray mein humary Kabira or Sagira Gunna Mauf marfay or hummy zayda se zayda Apny Gunahoon ki maufi or Toba krny ki Hadiyaat ata kry
                                      Ameen Sumameen
Image result for ramzan ka dosra ashra
Allah Ramzaan mein apny Bandoon k liye khas Rehmaty Nazil krta hai
Ramzan ka mahina bohat ba-barkat wala mahina hota hai
isi mahiny mein Quran utra Humary Nabi (S.A.W) per
Ramzan ka Dosra Ashra Maghfarat ka ashra hota hai is ashry mein insan apny Gunahoon ki maufi Alllah se Manghta hai
or Allah Muaf krny wo Passand farmata hai
1 hum insan he hain jo dosroon ko mauf nahi krty Dosroon se Badla leny ka har roz sochty rehty hain Mansooba Bandi krty rehty hain Dosroon ko Nicha Dikhany k liye Sari Haddy Paar kr lety hain
sirf Kis liye Apni izaat k liye
is ne mery saath ye kia ha mein b isi k saath aysa he kro ga bas muje moqa mil jaye
Dekho          Dekho
Humari Kitni Gatia Soch hai
Jo Allah Apny pyary Bandy ko apny Mehboob bandy ko 70 maoun se zayda pyare krta hai
agr us bandy se koi galti ho jaye koi khata ho jaye or phir wo baad mein apni Galti ki apni Khata ki Magfarat mangy Tu
us ko mauf kr deta hai
tu Hum kiyou nahi mauf krty Dosroon ko
mauf krna sikhiye
Humary pyary Nabi (S.A.W) ki sifat mauf krna ha

Mery Nabi ne Farmiya 
agr kisi ko Mana'ny mein tumhari izaat mein koi faraq aa jye tu Qayaamat waly din mujh se le lena 
ye hai mera Nabi 
Humara Nabi 
Ramzaan mein jitni ho sky Dua mangoo 
Ramzaan ka pehla Ashra Rehmat ka hota hai 
Allah se Rehmat k liye Dua mangoo 
Dosra Ashra Maghfarat ka hota hai 
Allah se apni Magfarat k liye Dua Mangoo
Teesra Ashra Dozakh ki Aagh se bachny ka hota hai
Dunyia se jany se pehly aysy kam kr jao jis se tumhari Qabar b thandi rahy or Qayaamat waly din tummy Dozakh ki aagh ki Bajay janaat mein bejha jaye ta k tum Janaat k mazay le sakoo 
Allah se Dozakh ki aagh se bachny k liye b Dua Mangoo 

Mery Nabi (S.A.W) ne farmiya 
3 Admioon ki Dua radh nahi hoti Ramzaan mein 
3 Admioon ki 
3 Admioon ki 
1 Adal Hukmaraan     2 Rozy Daar ki 
3 Mazloom ki 

Dostoon mana lo jo tum se naraz hain 
un ko message kro call kro ya un k ghr chly jao or un se khaoo dekh bahi mery se koi galti hvi ha muje muaf kr de or tum se galti hvi ha mein ne tuje mauf kia 
Allah ne itna pyara mahina dia ha rehmtoon wala mahina dia ha is mein hum sari narzgi ko khtam krty hain 
Hazraat Muhammad (S.A.W) ne Farmiya 
Halak ho jaye wo Sakash jis ne Ramzaan ko Pyia or phir b us ki magfrat na hvi 


jannat tery Wajood ko Tarsy gi 
tu mery Nabi k Naqshy Qadam pe Chal k tu dekh 

jo insan Ramazn k Rozy Niyaat se Rakhy ga 
us k pichly saal k Gunha Mauf kr diye jaty hain 

Hazrat Muhammad (S.A.W) ne farmiya 
Sehri khyia kro kiyou k sehri k khany mein Barkat hoti hai 
                    Dua
mein Allah se apny Sary Gunahoon ki Maufi mangta hun be-shak wo mauf krny wala hai 
Mauf krny ko pasand krta hai 
Ay Allah apny pass Bulany se pehly mery se Razi ho ja jo b Guna mery se aj tak hovy hain hain wo sab mauf farma 
Allah pak Hum sab ko mauf kr de Hum Gunna-gar hain hum Khata-kar hain hummy mauf kr de 
Hummy Naik bana 
emaan ki halat mein hummy uthana 
aysa na ho hum Gunna krty jaye or hummy pta na ho humari Moot ka waqat Qareeb A gya hai or Hum mar jaye 
or Dozakh ka Azaab or Qayammat waly din Rozakh ki Aagh humara Muqadar bany 
Ay Allah hum se Dozakh ki Aagh hum se bardasht nahi ho gi 
hum tu soraj ki garmi tapash bardasht nahi kr skty Dozakh ki aagh kesy bardasht kry gy 
Hummy Naik bana mery Malik 
hum pe karam kr 
Apny pyary Nabi k Sadqy hummy Mauf kr de hum pe Karam kr de Hummy Sidhy Rasty pe Chlny wala bana de 
Gunhaoon ki Daldal se Door Rakhna 
Gunhaoon ki Daldal se Hummy Nikal 
Hum Gumrahi mein Phens chuky hain 
Hummy nahi pta chal raha hum bahir kesy Nikly 
tu Hummy Nikal bahir 
                Allah hummy Mauf kr de 
Ameen


No comments:

Post a Comment

Post Bottom Ad

Responsive Ads Here

Pages