apny Allah se Apny Gunahoon ki maghfarat k liye Dua krta hai
kisi b Cheez ki insan ko talab hoti hai wo Cheez hasil krny k liye insan Allah se Dua krta hai
Dua insan ki Taqdeer badal deti hai
Dua k saath saath kohsish b bohat ehmeat ki hamil hai
insan ko kohsish b krni chahiaye kisi cheez ko hasil krny chahiaye
kiyou k harkat mein he barkat hai
Dua insan ko Farash se Arash tak Pohncha deti hai
or Ramzan mein Dua ki Ehmeate or barh jati hai
har Insan Allah se Apny liye Dua manghta hai Apny Gunahoon ki Dua krta hai
or Allah insan ki Dua Qabool krta hai
Beshak wo kareem hai Bohat Raheem hai
wo sab ki Sunta hai
Hadees :
1 bar Hazart Musa (A.S) ne Allah se Farmyia
Allah mein jitna ap k Qareeb hun ap se baat kr skta haun itna koi or Qareeb hai
Allah ne kha
Ay Musa (A.S) Akhir mein 1 umat ay gi or wo umat Muhammad (S.A.W) ki ho gi or us umat ko 1 Aysa mahina mily ga jis mein wo Sokhy Hontoon,Pyasi Zubaan,Sukhi hvi Aankhy,Bokhy Pait jab wo iftar krny bethi gi mein un k zayda Qareeb hun ga Tumhary or Mery Dirmiyaan 70 Pardoon ka fasla hai
or jab wo Umat iftar krny bethi gi tu mery or us umat k Dirmiyan 1 Pardy ka fasla b nahi ho ga or wo Jo Dua mangy gi mein us Dua ko Qabool kro ga
Sub Han Allah Sub Han Allah Sub Han Allah
Dua ki Ehmeat bohat zayda hai or Ramzan mein or B zayda ehmeat barh jati hai
Dua se bimar insan ko Shifa mil jati hai
Dua se Ruky hovy kaam Chal party hain
Har insan Dosry insan ko kehta hai mery Liye Dua krna mera kaam Ruka hova hai bas wo kaam ho jaye
Dosroon ko Kehny se Behtr hai koi Aysa kam kro k Dosroon k Dil se tumhary liye Dua nikly
or Ye hargiz nahi kehna Chaiye Dosroon ko mery Liye Dua krna
Allah ne Sab ko Dua Krny k liye 2 Haath diye hain or Har insan apny Liye Dua ka Haq rakhta hai
jab b insan Allah k Samny Dua knry k Liye Haath Uthata hai tu Allah us ki Dua zaroor puri krta hai
Chaye Dare se he kiyou na ho
Kiyou k Allah k Ghr mein Dare hai Andhar nahi hai
Ramzan ka Dosra Ashra Jari hai or Har insan apni Maghfarat k liye Dua kr raha hai
Dua
Allah hum sab ki Maghfarat farmay
or naik kaam krny k Tofeeq de
Ameen
Jab Allah ne Janat-ul-Fardoos banai tu Janat-ul-Fardoos se wada kia tuje mein wo insan kabi nahi bejhoon ga jis k Dil mein Dosroon k Liye Keena ho ga jo Apny Dil mein Dosroon k Liye Bugaz Rakhta ho ga
Mera Dil Badal de Mera Dil Badal De
Mera Dil Badal de Mera Dil Badal De
Mera Gaflat mein Doba Dil Badal De
Mera Gaflat mein Doba Dil Badal De
Hawa-o-Hirs wala dil badal de
Mera ghaflat mein dooba dil badal de
Badal de dil ki duniya dil badal de
Khudaya fazl farmaa dil badal de
Othy Amlaan te Hony ne Nabery
kisy ne ni Teri zaat Pochni
Pora Ramzan Har pal sans ye Dua Kasart se Parhy or Besumar Fowaid hasil kry Taqdeer ko Dua k Siwa koi Cheez nahi Jagati
Hazrat Muhammad (S.A.W) ne Farmiya mein tummy wo Cheez na batao jo tummy Dushaman se Nijaat de tumhara Rizaq mein Azaafa kry
Din Raat Allah se Dua manghty raha kro
kiyou k Dua Moman ka Hityaar hai
Dua insan k Dil ko mom krti hai
Dunyia ka koi b masla ho Har masly ka Hal k liye Allah se Rojo kry or Allah se Rojo krny kny ka Behtreen hal Dua hai
Dozakh se Nijaat
Hazrat Muhammad (S.A.W) ne Frmyia jab tum Magrib ki Namaz se Farig ho jao tu Ye Dua 7 Martba parhoo
Hazrat Muhammad (S.A.W) ne farmyia
jo insan apny maa baap k liye Dua nahi krty un ka Rizaq Rok lia jata hai
Lehaza Dua krty raha kro
Dosroon k liye B
or
Apny Liye B
No comments:
Post a Comment