every year celebrate mother day on 12 May,
Mother's Day is a celebration honoring the mother of the family
Maa Azeem hai
maa k Qadmoon k nichy Janaat hai Hum sab ko maa ki izaat krni chahiaye
Home is not Home without Mom
maa ka Rutba bohat bulaand hai
maa kya hai ?
maa wo azeem hasti hai jo apny bachoo ko apny ghr ko sanbal k rakhti hai Sohar k kaam pe jany k bad ya sohar ki wafat k bad
Allah hum sab ki maaoun ko salamat rakhy khush rakhy or Har olaad apni maa ki izaat kry un ki farmabardari kry Ameen-sumameen
koi b ghr us waqat tak mukmal ghr nahi banta jab tak us mein aik oraat na ho
specially wo oraat maa k roop mein ho kiyou k wo janti hai ghr kesy chlana hai bachy kesy sanbalny hain
maa har musibat ka samna krny k liye tyare rehti hai koi b musibat us k bachoo pe ati hai tu maa 1 dewaar ki tarhana Chitaan ban kr musibat k agy khari ho jati hai ta k us k bachy mehfooz rahy save rahy
is liye hum sab ko apni maa ki izaat krni chahiaye un ka khyale rakhna chahaiye
agr wo bimar hain tu un ko doctor k pass le k jaye or un ka har hukam baja lana chahiaye
maa 9 Mahiny tak Apny pait mein Bachy ko palti hai or jab bacha paida hota hai tu us ki Khushi ki koi intha nahi hoti wo phir apny bachy parhati likhati hai
or us k Dil mein ye he aaas hoti hai us k bacha barha ho kr humara sahara bahy ga
hum ko Sanbaly ga Humara Ehtraam kry ga Humari Laaj Rakhy ga
![Image result for mother](https://us.123rf.com/450wm/matoommi/matoommi1604/matoommi160400146/55425128-stock-vector-baby-in-a-tender-embrace-of-mother-mother-s-day-mother-baby-infant-motherhood-love-innocence.jpg?ver=6)
illam ki kami ki wja se Dehati mahool mein aksar log apni maa ko zaleed-wa Ruswa krty hain
kis ki wja se
koi jaidaad ka tanaza ho gya us ki wja se krty hain
kisi shak ki bina pr krty hain
bohat c aysi wajohaat hain jis ki wja se Log apni maa ko zaleel wa Ruswa krty hain illam ki kami k sabab
wo meri bad-salooqi pe b muje Dua deti hai
Aagosh mein le kr sary Gum bula deti hai
jab muje wo apny Paly se hawa deti hai
Weraan Ghr ko b Janaat bana deti hai
kya Khoob Rishta baniya hai us Raab ne
or ye nahi hona chahiaye kiyou k maa k Qadmoon k nichy janaat hai or hum ko apni Janaat k saath aysa bilkul nahi krna chahaiye
Allah ne maa k Qadmoon k nichy janat rakhi hai or har koi chahta hai wo janaat mein jaye
janaat mein tu tab he jaye gy na jab Allah or Nabi PAK (S.A.W) k Ehkamaat ki pervi krna or Maa Baap ki izaat krna un ka har Hukam baja Lana jo wo khay wo kaam krna
*Dua*
ya-Allah
tery se ye Dua hai meri maa ko humary Saroon pe salamat rakhna meri maa ko har preshani se door rakhna
or jo wo dua kry wo puri krna
or jo meri maa se koi galti kohtai hvi hai us ko maaf farma
beshak tu sab ko maaf krny wala hai
Ameen
Hazarat Muhammad (S.A.W) ne farmyia
agr meri maa zinda hoti tu tm dekhty mein kesy izaat krta apni maa ki
mein Namaz parhny k liye Muslay pe khara hota or mein Surah Fatiha parh raha hota or Dosri Taraf se meri maa Awaz deti
Muhammad
mein Namaz Chor kr usi waqat maa ki Khidmat mein Hazir hota or Kehta Labiak Ama G
G Ama g
Dekho mery Nabi ki shan
Dekho
Dekho
or hum Log apni maa ko 1 zameen k Tukry k liye Ruswa kr rahy hain
Ap (S.A.W) ne farmyia jab tumhary Maa Baap Buray ho jaye tu un ko Uff tak na khao
jab maa Baap wafat pa jaye tu un k liye Dua kia kro un ki Qabroon pe ja kr
Ghr Beth kr Quraan pak parh kr un ko Baksha kro un k liye Dua kia kro
Kiyou k Hum sab Mukaam b Wahi hai
Hum sab ne 1 Din wahi chaly jana hai
Jab insan apny maa Baap k liye Dua krna Chor Deta hai
tu Us ka Rizaq Rook Lia jata hai
Sakhat Ratoon mein b Safar Asaan Lagta hai
Muje ye Meri Maa ki Duaoon ka Asar Lagta hai
Teri Azmat ko Salam maa
Tery Jazboon ko salam maa
Tu Qurbani ka Dosra naam hai maa
Maa Meri Maa
No comments:
Post a Comment