mahhy Ramazan ki Aamad Aamad hai
Allah hum sab ko Pury Rozy Rakhny Tarawie parhny or Naik amal krny Namaz Baqidgi k saath Prhny
Quran Pak urdu Tarjmy k saath parhny k liye Hidyaat Farmayy
Ameen-Sumameen
Ramzaan mein Parhi jany wali Tasbeeh
Ramzan mein Rozana kisi b Namaz k baad 21 bar Kalma Taiba ki Tasbeeh krni Chahaiye
Ramzan mein Dozakh k Darwazy band ho jaty hain Shitaan ko Qaid kr lia jata hai Dozakh ki Aagh band kr di jati hai
or Jannat k Darwazy Khol diye jaty hain
Ramzaan Humary Liye Rehmat hai
Allah ne Ramzan ka naam kud Tajweez kia hai
Roza sirf sara Din Bokha rehny sara Din Pyasa rehny ka naam nahi ha Roza insan k pury jisam ka hota hai
Aankh ka roza : koi buri cheez nahi dekhni kisi larki ko kisi orat ko nahi dekhna aaankh barh kr bazaar mein koi film nahi dekhni
kaan ka roza : koi song nahi sun'na
zubaan ka roza : kisi ki gibat nahi krni jhoot nahi bolna kisi ko zubaan di ha puri krni ha kisi se wada kia ha pura krna hai
kisi ko gali nahi deni kisi ki chugli nahi krni
Dil ka roza : apny dil mein kisi k liye koi gibat nahi rakhni dil saaf hona chahaiye
ye kabi dil mein nahi rakhna is ko nahi choro ga is ne mery saath ye zyadti ki hai is ne mery saath bura kia hai mauf kr dena
Allah mauf krny walo ko pasand krta hai
Dimag ka Roza : Apna Dil or Dimag ko saaf rakhoo Dosroon k liye or apny liye b
Sirf Allah pe dehaan rakho Allah ne tummy itna mubarak mahina dia ha is mubarak mahiny mein Allah or us k Rasool ko Razi kr lo
jo tum se galti hvi hai koi Khata hvi ha us ki maufi maang lo
Maufi maang lo Maufi maang lo Maufi maang lo
Ramzan mein gali mahloon mein garoon mein mahfil na lgao dostoon ki
Allah ne tummy bohat mubarak mahina dia ha apny sanwaroon
mehfil lgany se behtr hai Quran parhoo tasbeeh kro
Allah ki Rehmty Sametoon ye bohat ba-barkat wala mahina hai
Allah ki Khushnoodi hasil kro
Tableeg pe jao agr nahi ja skty tu koi bat nahi ghr beth kr Allah ko yaad kro Allah ki yaad mein Dil lgao
koi b insan bahir k mulak jata hai tu us ko 2 cheezoon ki zaroort hoti hai
1 passport ki
Or
2 Visa
agr in mein se us k pass koi b 1 Cheez nahi hvi tu wo bahir nahi ja skta
isi Tarhana
janat mein b jany k 2 he Tariky hain
Passport or Visa
Passport
![Image result for la ilaha](https://cf1.s3.souqcdn.com/item/2015/11/12/95/30/70/3/item_XL_9530703_10769036.jpg)
Hai
Visa
Hai
in 2 Cheezoon k bagair hum Janat mein nahi ja skty
agr jannat mein jana hai tu ye 2 cheezy apny pass rakhoo warna
Dozakh mein daal diye jao gy
Apny Nabi ki Laaj rakhoo
Mahumadi Ban k Raho
kisi sahabi ne Ap(S.A.W) se pocha
sab se acha insan kon hai
Ap (S.A.W) ne jawab dia
sab se acha insan wo hai jo Dosry insan ko takleef na de na zuban se na Haath se
or sab se acha insan wo hai jo naap-Tol mein kami na kry
Ramzan ki amad hai Allah k wasty kam na Tolna
Qayyamat k roz is ka b hisab hona hai
Nabi Kareem (S.A.W) ne farmiya agr kisi ko mana'ny mein tumhari izaat mein faraq ay ga tu Qayamat k Roz mujh se le lena
Wah (Subhan-Allah)
Ramzan k 3 Ashry hoty hain or Har Ashry ki Dua hoti hai
Har Ashra 10 Din pe Muheet hota hai
![Image result for ramzan k ashron ki dua](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEhEDEDen4qmPi2RSkiYsnfCp2FtFgeU75-l6mlFKWhPRToZSxPvH8gITz6m78j4HF_tSLDl7j0UB9vurvCjcmSzV4qbuIurVGDfGmFd0V5d2RTDeSrJ_yZOIDh1302TiBEFFIWX8ZFH7Kw/s1600/scan000121.jpg)
Teesra Ashra Yani k Akhri Ashra
is mein Log itkaaf mein Bethty hain Masjdoon mein or Ghroon mein jo Mard hazraat hoty hain zyada tar masjid mein bethty hain or khwateen ghroon mein bethti hain
zyada tar Log Masjid mein bethty hain
kuch Log 10 Din k liye bethty hain kuch 3 Din k liye bethty hain
itikaaf ka mtlb hota hai kuch din Bahir ki duniya se Rabta muntqa kr lena
Ramzan mein Log zuqaat khirat bohat krty hain
yateemoon,maskeeon,bewaoon,be-sahara Logo ko zukaat di jati hai ta k wo b Eid ki khusioon mein shareek ho sky
jab Bhray Bhray Log zukaat nahi dety tu Gareeboon ki Betiyaan nilaam ho jati hain
Jab Humary ne Nabi Dunyia se Parda farmiya tu Apni Umaat ko 2 Naseehty ki
1 Namaz parhna
2 Zukaat dety Rehna
Hum mein se in 2 cheezoon pe koi amal nahi kr raha
or zukaat Hamesha zaroort mandoon ko deni chahiaye
jo zukaat k Haq dar hain
No comments:
Post a Comment